Hamare Pyare Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W)
21/Apr/571 Esvi 12/Rabi-ul-Awwal Peer ko Suba4:45 Makkah me peda hue
Aap(S.A.W.W)ki Total Zindgi 22330 Din (63 Sal,4 Din)
Aap(S.A.W.W) ki Risalt ka Arsa 8156 Din (23Sal)Tha.
AMAD E MUSTAFA MARHABA MARHABA.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,
me tum me 2 garan Qaddar cheezain chore ja raha hon
1: Quran
2: Meri Itrat (Ahlebait) in dono se juda na hona warna tabba ho jao ge...
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“YA ALI (A.S) apki muhabbat gunaho ko is tarah khati hai jaise aag khushk
lakri ko”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
ne ek martaba Ali (a.s) se irshad farmaya ki
ay Ali raat ko rozana paanch kaam karke soya karo
(1).4 hazar dinar sadka dekar soya karo
2.ek quran sharif padkar soya karo
3.jannat ki kimat dekar soya karo
4.do ladne walo mai suleh karaker soya karo
5.ek haj karke soya karo
hazarat ali (a.s) ne arz kiya ya rasool allah (s.a.w) ye sub kis tareh kiya
jaye bataye
fir huzoor (s.a.w) ne irshad farmaya
1.char martaba sureh fateha padkar soya karo
iska sawab char hazar dinar ke barabar hai
2.teen martaba kul ho wala ahad padkar soya karo
iska sawab ek quran majid ke barabar hai
3.dus martaba astagfar padkar soya karo
do ladne walo mai suleh karane ke barabar sawab hoga
4.dus martaba darud sharif padkar soya karo
jannat ki keemat ada hogi
5.teesra kalma padkar soya karo
ek haj ka sawab milega
es per hazrat ali (a.s) ne arz kiya ya rasool allah (s.a.w)
ab tue mai rozana yahi amliyat karke soya karoonga
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
ae musalmano suno ghor se suno
hazrat mohammed (s a w) ne fermaya hai ke
jab koi bhi hussain ko sallam bhejta hai us k nateeje main khud
(fatima tul zehra(s.a) 70 baar jawab deti hain
to aao sub mill kar kahe
sallam ya hussain (a.s)
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------Rasool-e-Khuda
Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,
Allah Taalah Se Jab Dua Mango To Iss Haalat Main Mango,Ke Tumhain Us Ke
Qabool
Hone Main Koi Shaq Na Ho.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Dozakh Har Aise Shakhs Par Haraam Hai,
Jo Naram Mezaj, Naram Guftaar, Milansaar,
Aur Hans Mukh Ho.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
" ALLAH tumhari shakal-0-surat or daulat ko nahi deakhta bal k tumhari
niyyat or Aamal
ko deakhta hai "
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Momino’n Apni Duao’n
Main Surah-eFalak,
Surah Naas, surah Ikhlas
Ko Shamil Ker Lia Kro
Har Qism K Shar Aur Jadu
Se Mehfuz Raho Gy …
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Sadqa gunahon ko is tarah khatam
kar daita hai jis tarah
pani aag ko buja daiti hai”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
"Jesa Amal Karo ge
Wesi Hi Aadat Pare Gi
Jesi Aadat Hogi, Wesi
Seerat Hogi Aur Jesi
Seerat Hogi, Wesi
Qismat Pao Gy"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Nigah Aiysi Rakhoo Jo Buri Nigaahon Ko Bhee Jhuknay Pay Majbur Ker Day.”
Or“Zubaan Aiysi Istamaal Karoo Jo Talkh Zubaan Mein Bhee Mithaas Bher Day.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, “Har Ummat Ka
Aik Fitna Hota Hai, Meri Ummat Ka Fitna Maal-o-Daulat Hai.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,Ne Hr us MARD pr
LANAT frmai jo AURTON jesa LIBBAS pehne Or Hr us AURAT pr LANAT frmai jo
MARDON jesa LIBBAS pehne
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, "Jo ALLAH
Aur ALLAH Ke Aakhirat Par Emaan Rakhta Hain Use Chahiyee Ki Bhaliii Baat
Kare Ya
Khamosh Rahe"....Yeh Log Jabhi Koi Baat Kro To Tumhare Muh Se Khair Ki Baat
Ho
Aur
Tum Logo Ki Burayiiya Karna Chod Do Aur Bey Shak Zubaan Se Hi Sab Se Ziyada
Gunah Hote Hain Lihaza ALLAH Aur Rasool Ke Siwa Fizul Ki Baatein Na Kiya Kro
Aur
Bey
Shak Tum ALLAH Ki Tarf Se Behtariin Umaat Ho.....Aur Bey Shak ALLAH Tabarak
Wa
Tala Dilo Ki Baato Ko Jaan Ne Wala Hain....ALLAH Pak Mujhe Aap Ko Aur Hum
Sab
Ko Amal Ki Tofeeq De.....Suma Aamin.....Dua Aur Khair Mein Mujhe Bhi Samil
Kare.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Duaon ki Qabolyat k Auqaat
1.Farz namaz k baad,
2.Azan or Aqamat k darmian,
3.Tahajjud k waqt,
4.Barish baraste waqt,
5.Safar mein,
6.Iftar k waqt,
7.Jummey k din ek ghari,
8.Shab-e-Qadar mein,
9.Zam Zam peete waqt,
10.Arfa k Din Maidan-e-Arfat mein,
11.Qura'an ki Tilawat k baad,
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Apnay bhai ki taklef per khush na ho.
Mumkin hay Allah us ko
nijat day kar tumhain us main mubtela kar day.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
qiamat k din ALLAH ki nazar main bad taren shakhs wo hoga jiski bad zabani
ki waja se
log us se milna chor den.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,mazloom ki bud dua
se apny aap ko bachaoo is liye k woh ALLAH TA'LLA se apna haq mangta ha,or
ALLAH
TA'LLA KISI HAQDAR KO US K HAQ SE MEHROOM NAHI KARTA.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
khairat ko mat roko,warna tumhara rizq bhi rok diya jaiga.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, QAMYAT k din
mery shafaat k wohi musthaiq ho ga jis na sacha dil se "KALMA" parha ho.
Aap (S.A.W.W) na irshad frmiya k "LA ILHA ILLAH ALLAH" k zikr tmam zakron se
bather aur tmam nakiyo se afzal ha.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Jab khush kardey tujhey teri Neki aur Buri lagay tujhey teri Burai to phir
samajh k Tu
MOMIN hai.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Agar Kisi Insan Main 99 Buraiyan Hon Aur 1 Achayi Ho,
To Us Ki Buraiyon Ko Nahi Balkay 1 Achayi Ko Bayaan Karo.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Logon Se Miltay Waqt Muskurana,
Andhay Ko Rasta Dikhana,
Raste Se Pathar Uthana, Sulah Karna,
Aur Neki Ki Baat Batana Bhi Sadqa Jaria Hai.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Jo Shakhs Wazo Karne Se Pehle Pehla Kalma Parh Le,
To Wazo Ke Har Qatray Par Allah 1 Farishta Paida Karega,
Jo Qayamat Tak Pehla Kalma Parhta Rahe Ga Us Ke Liye.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Har Shay Ke Liye Koi Na Koi Safayi Karne Wali Chez Hoti Hai,
Aur Dilon Ki Safayi Khuda Ke Zikar Se Hoti Hai.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Jo Apne Walldain Ke Liye Dua Karna Chor De,
Uss Ke Liye Rizq Tang Kar Diya Jata Hai.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Jo Shakhs Sotay Waqt 21 Baar BISMILLAH Parhta Hai,
ALLAH Farishton Se Farmata Hai,
Ke Iss Ki Har Saans Ke Badlay Neki Likho.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Apni Duaon Ke Qabool Hone Ka Yaqeen Rakhte Hue Dua Karo,
Allah Aisi Dua Qabool Nahi Karta Jo Ghafil Aur Be Parwa DiL Se Nikli Ho.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Behtar Woh Hai Jo Dair Se Naraz Ho Aur Jaldi Maan Jaye,
Badtar Woh Hai Jo Jaldi Gusse Main Aye Aur Dair Se Raazi Ho.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Duniya Main Agar 4 Cheezain Tumhare Paas
Hon, Tou Tumhe Koi Nuqsan Na Hoga.”
1- Sachi Zuban.
2- Amanat Daari.
3- Khush Ikhlaqi.
4- Rizq-E-Halal.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Jab 3 Kefiyaat Paida Hon To Forun DUA Mango,
Uss Waqt DUA Rud Nahi Hogi.”
1- Jab Jisam Kaanp Uthay.
2- DiL Main Khauf Aa Jaye.
3- Aankhon Se Aansu Jari Hon.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,
“Jo DUA Doston Ke Liye Un Ki Ghair Mojoodgi Main
Ki Jati Hai, Woh Kabhi Rud Nahi Ki Jati.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Sach Neki Ki Taraf Le Ke Jata Hai,
Aur Neki Jannat Main Pohnchati Hai.”
“Jhoot Badi Ki Taraf Le Ke jata Hai,
Aur Badi Jahanum Main Pohnchati hai.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
"Jab Shetaan mardood ho gaya tou
uss nay kaha, k Ay Rab!
Teri Izat ke qasam
main teray bandoon ko hamesha bhatkata rahoon ga
jab tak k Unke rouh unka jism main rahay ge.
Allah Rabul Izzat nay Irshad farmaya Mujhay Qasam hay
apni Izzat-0-Jalaal ki
apnay Aala mukaam ki
"jab tak WOH mujh say Astaghfaar kartay rahain gay
MAIN unko bakhshta rahoon ga."
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
"AGER KOI MUSALMAN KISI BIMARI YA MUSIBAT YA PARESHANI MEIN
MUBTILA HO JAI OR US PER SABER KARE TO "ALLAH" APNI REHMAT
SE US KE GUNAHON KO IS TARHAN JHAAR DETA HAI JAISE DARAKHT
APNE PATTO KO
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
jab kci kaam ka irada karo to uska anjaam soch lo, agar iska anjaam acha ho
to karlo, aur
agar anjaam bura ho to us se ruk jao...!
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
ALLAH se DUA mango to DUA ki Qaboliyet Per Yakeen Rakho keyo k ALLAH Ghafil
or Laparwa Dilo ki DUA Kabool nahin Kerta
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
"Jb Ek Jawan Admi Toba Krta Hai To Mashriq Se Maghrib Tak K Qabristano Me 40
Dino Tak Azaab Hata Dia Jata Hai"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Uss Insan Ka Koi Emaan Nahi Jis Ki Amanat Nahi .
Or Uss Insan Ka Koi DEEN Nahi Jo Wada Pora Nahi Karta.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
“Jb Koi Banda
Allah Ki Naimt Pr
Alhamdulillah
Kehta Hy
Tu Allah
UsKo Is Se Afzal Naimat Ata Frmata Hy.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Duaon ki qaboliat k auqaat,
1.Farz namaz k baad,
2.Azan or aqamat k darmian,
3.Tahajjud k waqt,
4.Barish barastay waqt,
5.Dauran-e-safar,
6.Iftaar k waqt,
7.Jummay k din ek ghari,
8.Shab-e-qadar main,
9.Zam zam peetay waqt,
10.Arfa k din maidan-e-arfat main,
11.Quran ki tilawat k baad.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Jo Shakhs Sotay Waqt Bismillah Parta He,
Allah Frishton Se Farmata Hai K Us Ki Har Sans Kay Badlay Neki Likho.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,
?Dua K Siva Koi Chez Taqdir K Faisle Ko Rad Nahi Kar Sakti
Or Neki K Siwa Koi Cheez Umer Ko Nahi Barha Sakti?.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Tauba Gunah Ko Kam Kerti Hai
Jhoot Rizq Ko
Gheebat Neki Ko
Ghum Umar Ko
Sadqa Bala Ko
Gussa Aqal Ko
Takabbur Ilm Ko
Neki Badi Ko
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
AAP (S.A.W)
Se Pucha Gaya
Ya Rasool ALLAH (S.A.W)
Insan Ka Husn Kis Cheez Me Poshida Hy?
AAP (S.A.W)Ne Farmaya
Insan ka husn UsKi Zaban Me poshida hy
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,
Jo log khanay se pehly thora Namak chakh lete Hn
Wo log 30 Qism ki Bimariyon seMehfuz rehte hen
Khajoor ko Nashtay me istamal kro ta k
tumaharay Andruni jarasim ka khatma Hojaye ga
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,
1) "Libaas ki saadgi eman ki alamaton mein se aik alamat hai". (ABU DAUD)
2) "Dua ke siwa koi cheez taqdir ke faisle ko rad nahi kar sakti aur naiki
ke siwa koi
cheez umar ko nahi barha sakti".
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
"Ankhoon ko un ka Haq do" Logon ne pocha Huzoor Ankhoon ka Haq kya hai?
Ap(s.a.w) ne Farmaya: Quran ki taraf nazar karna or is ke Tilawat karna.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,
'Har Ummati Ke Gunah
Mua'af Kar Diye Jaye'n
Gey Siwaye Un ke Jo
Apne Gunaho'n Ko Zahir
Kerte Hyn'
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
"Tumhare Hath Me Do
(2) Kaam Aise Hyn Jin
k Sabab Se Tum Se
Pehli Ummatei'n Halak Hui'n
1. Kam Tolna
2. Pura Na Napna."
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,
Kisi ko us ki Zaat aur Purany Libbas ki waja sy Haqeer na samjho
Es liye k Tera Rab aur uska Rab aik hi hai
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
"Sab Se Wazni Cheez Jo Qayamat k Din Momin k Meezan Main Rakhi Jayegi Wo Us
Ka Husn EAkhlaq Ho Ga"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,Jo Apne Waldain K
Liye Dua Karna Chorh Deta Hai Os K Liye Rizq Tang Kar Diya Jata Hai.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, Jab Tum Kuch
Bhool Jaow To Mujh Pe Durood Parho Inshallah Ta'alah Bhooli Howi Cheez Yaad
Aa
Jaye Gi.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,Jab 3 Kefiyatein Ho
Tou Foran Dua Maango Os Waqt Dua Rad Nahi Hogi,
1- Jab Jism Kaanp Uthay,
2- Dil Mein Khoof Aa Jaye,
3- Aankhon Se Aansu Jari Ho.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,Duniya Ki Zeenat 3
Cheezein Hain,
1- Maah,
2- Aulaad,
3- Biwi.
Aakhirat Ki Zeenat 3 Cheezein Hain,
1- Ilm,
2- Taqwa,
3- Sadqa.
Jism Ki Zeenat 3 Cheezein Hain,
1- Kam Kahna,
2- Kam Sona
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, Allah Ta'alah Se
Dua Maango Tou Dua Ki Qubooliat Par Yaqeen Rakho Q K Allah Ta'alah Ghafil Or
Laparwa Dilon Ki Dua Qubool Nahi Karta.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, Agar Tu Allah
Ta'alah Ki Raza K Liye Kisi Cheez Ko Chorh De Ga Tou Allah Ta'alah Is K
Badle Mein
Tujhe Os Se Behtr Ata Karega.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, Aamal Apni Taqat
K Mutabiq Karo Allah Ta'alah Ki Qasam Wo Ajar Dene Se Nahi Thake Ga Tum Hi
Aamal Karne Se Thak Jao Ge.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, 4 Cheezein Aap Ko
Pareshaan Or Bemaar Karti Hain,
1- Ziyada Baatein Karna,
2- Ziyada Soona,
3- Ziyada Kahna,
4- Ziyada Loogo Se Mail-Jol,
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, K Tum Main Se
Koi B Kahna Kahye Or Pani Piye Tou Seedhe Haath Se Piye Q K Shaitaan Ulte
Haath Se
Kahta Hai Or Ulte Haath Se Peeta Hai.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,Tum Apni Unglion
Par Tasbih Kiya Karo Q K Qayamat Wale Din Ye Tumhari Gawahi De Gi.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,Main Os Shakhs
Ko Jannat K Kinaro Par Garh Dilwane Ki Zamaanat Deta Hon Jo Jhagra Chor De
Chaahe Wo Haq Par Ho.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, Khaana Kah K
Shukar Ada Karne Wale Ka Darja Sabar Karne Wale Rozaidaar K Barabar Hota Hai,
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, K Jo Aurat Kam
Kapre Ya Tang (Tight) Libas Pehnegi Wo 500 Saal Tak Jannat Ki Khusbu Tak
Nahe
Soong Sake Gi.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Jab Mulk“mein”Tabahi”ho
Or logon ke“Jan o Mal”Mehfoz na ho
To kasrat se“ASTAGHFAR”Parho
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Nimaz osi tarha paro jis tarha muje Nimaz pahrte
daikha hai.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
ALLAH Se Haath Utha
ker Dua Maanga Karo
ke Hathelio'n Ka Rukh
Saamne Ho, Haath Ultey
Ker ke Na Maanga Karo
Aur Dua Kar Chuko Tou Uth'tay
Huey Haatho'n Ko Chehry
Per Pher Lo ...
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
sab say ziada wazni cheez jo qiyaamat kay din momin kay taraazoo main rakhi
jaay gi woh
uska "HUSN-E-AKHLAQ" ho ga
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Woh shaks janati hy jo raat ko soney se phly sub ko muaf kar k soye
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Jab apny liye dua karo to doosron ko bhi yaad karo:
kiya pata us ki nasseb ko khushi tumhri dua k intezar mein ho
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, Jab TuM kisi Ko
Dost Banao To Apnay Dil Mei ek Kabristan Bana Lo!!
Jahan Tum Uski ki Buraiyon Ko Dafan ker sako:
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,jab do momin milty
hein aur salam k baad mashfy k liy aik dosry ka hath me laty hein tu dono k
ghuna istarha
jhar jaty hein jistarha darkht sy sokhy patay.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Raat Ka Khana Na Choro
Chahey 1 Meethi
Khajoor Kyun Na Ho Kyun ke
Raat Ka Khana Chorhna
Aadmi Ko Zaeef Ker Deta H
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
"Beshak Allah Ta'ala
ny Mere liye zameen k pardey utha diye hyn,
Lihaza Main usay dekh raha hoon aur jo
us mein Qayamat tak hony wala hy usay bhi
jese, Apni is Hatheli
ko
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
"Kahan Kha k Shukar
Ada Krne Wala Ka
Darja, Sabr Krne Wale
Rozedar k Brabar Hota
Hy"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
maldari saaz o samaan ki kasrat ka naam nahi balke asal maldari dil ka Bada
hona hai
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, jis kisi nay
kisi ko
nek baat per amada kia to us ko bhi utna swab milay ga jitna us neki krnay
walay ko milay
ga.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,a jo logon per rehm
nahi karta Allah us per rehm nahi karta
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, jub tum apnay ghar
me dakhil ho to ghar walon ko salam karo ye baat tumharay or tumharay ghar
walon ke liye barkat ka bais ho gi
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, ikathay ho kar khao
or bismillah parho is me tumharay liye barkat hay.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, jab kisi mareez ki
ayadat krnay koi shakhs jata to asman say aik ghaibi nida aati hay k tu acha
hay. tera
chalna acha hay or janat ki aik manzil main tu nay apna ghar bana lia
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
jab musalman apnay musalman bhai ki ayadat karta hay to wapsi tak
janat ki bagh ki khosha chini karta hay.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
Jo shakhs Allah say dua nahi krta Allah us say sakht naraz hota hay.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Dua ibadat hay phir ap nay ye ayt tilawat ki "Wa qala rabukumuduni astajib
la kum"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
AGER KISI SHAKS MEIN 99 BURIAN HON AUR EK ACHAI HO TO USKI BURION
KO NHE BALKE ACHAI KO BEYAN KERO
Aik dafa aik shakhs nay Rasool-e-Pak(S.A.W) poocha, kiya cheez
ghamon se mafi dilae gi?
Aap (S.A.W) ne farmaya
1. Aansoo
2. Aajzi
3. Beemari
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Khanay say phelay haath dona tangdasti ko door karta hai or baad mein dhona
junoon
(pagal pan)ko dafa karta hai.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,wo shaks us waqt
tak janat main dakhil naheen ho ga jab tak us ke maan bap us se naraz hain
chaye wo lakh
mutaqi aur parhezgar ho
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, "jis ne apni MAA
k paoun ko Bosa dia us ne KABAH ki dehleiz ko Bosa dia"
y msg tum itna phela 2 jitna tum MAA aur Allah se pyar krte ho.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, "Libas ki sadgi
Imaan ki alamaat main se aik alamat hai"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, dunia momin k liay
qaid khana aur kafir k liay janat hai......
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,mazloom ki bud dua
se apnay aap ko bachao is liye k woh ALLAH TA'LLA se apna haq mangta hai,or
ALLAH
TA'LLA KISI HAQDAR KO US K HAQ SE MEHROOM NAHI KARTA.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,"dunya momin ka
qaid khana aur kafir ka jannat hai."Kafir wo
hai jo ALLAH aur USKE RASOOL ki ita'at nahi karta aur apni marzi karta hai..
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
"Allah jis k sath Bhalai ka Irada
frmata he us ko DEEN ki samajh ata frmata he".
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Us shaks ki hajat jald pori hoti hai jo apni hajat kisi or ko na bataye
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
halaak karne wali cheezon se bacho,poocha gaya halaak karne wali cheezain
kiya
hein.Farmaya,Allah ke saath kisi ko shareek karna aur Jadu tona.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,ny farmaya salam
mai pehal kya karo is se apas mian muhabat badti hi
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
"Bandy ko QiYAMAT ke Din Jab Uska AamaL-Nama Dia Jaye Ga Tou Wo Us Mein
Aisi Nekiya'n b Dekhey Ga Jo Usny Kbhi Na ki Thi'n.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Wo Poochy Ga Ya RAB Ye Kahan Se Aai'n?
ALLAH Irshad Farmayega: "TeRi Bekhabri mein Logo'n ne TeRi GHEEBAT ki,
YE Unki Nekiy'an GHEEBAT Karney ki Waja se Tujhy Mili Hyn"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Jab kisi ke beta peda hota hain to
ALLAH PAK frmaty hain ke apny baap ka bazu ban ja..
Magar jab beti peda hoti hy to
ALLAH PAK frmaty hain ke
MAIN KHUD tere baap ka bazu ban jaunga...
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
1- Lehsan Khaya Kro Aur Is Sy Ilaaj Kia
Kro Q k Is Mein Bimario'n Sy Shafa Hy
2- Apne Dastar-Khwan
Ko Sabz Cheezo'n Se
Sajaya Kro Q k Sabz
Cheez ALLAH k Naam ki
Barkat Sy shetaan ko
Duur Rkhti Hy
3- Har Anaar Mein 1
Qatra Jannat k Paani Ka
Zarur Hota Hy
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, 'Agar tum mein se
kisi ko ye khadsha ho k qayamat k din uski bakhshish mushkil hy tou usey
chahiye k wo
kasrat se logo'n ko pani pilaya kare' kyun k is chotey se amal ka ajar bohat
bara hy.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,"LA ILHA ILLAH
ALLAH" k zikr tmam zakron se bather aur tamam nakiyo se afzal hai.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
(MAGHRIB or ISHA) k Drmiyan 3bar SUREH"FATIHA" parhne se ALLAH PAK puray
saal k Rizk ka Intezam kr deta hy
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Isma-ul-husna (ALLAH k nam) ko yaad karnay aur parhna ki barkat se jannat
main
dakhil hona ki bashurat aati ha aur inn ka wasilla se DUA mangna baiyass
qbauliat hai.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,Agr tm 3 ho to 2
aaps me sargoshi na kro Q k ye bat teesre ko ghamzda kr deti he"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Jahan b ho ALLAH ka kahuf rakho aur burai
sazad honay k baa neki ka amal kro jo
usay mita de gii aur logo'n se
husn-e-ikhlaq se pesh aao
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Jab Aadmi Apnay (Muslman) ßhai ko "Ay Kafir" keh kar Pukaray To Goya Uss Ne
Usay
Qatal kar Diya.. Aor Momin Par Laanat Karna ß Usay Qatal karnay Jesa Hy
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,
Jab ß koi §hakhs kisi ko Kafir kehta Hy To Un 2 Mein §y 1 kafir Ho Jata Hy
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke, sood khaanay wale,
Khilanay wale, Us ke likhne wale aur us ko do gawahon per lanat farmayi hai:
Ye (gunah mein) brabar (ke shareek) hein.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke,“Meri Ummat ka
har shakhs qabil-e-muafi hai,
siwaye un logon k jo khullam-khulla gunah karnay walay hon gey,
or yeh bhi ilaniya gunah ha k raat ko admi koi gunah ka kam karay,
ALLAH nay us k gunah par parda dala aur subah woh kahay,
pichli raat main nay fulan gunah kiya. Us kay RAB nay raat ko us ki
perda-poshi ki
or subah us nay woh perda chaak kar diya.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke jisne hamare is
Deen me koi nai baat ejad ki jo isme se nahi hai,to woh mardud hai
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke"Jannat maa ke
kadmo tale hai agar hasil karna chao to uski khidmat karo!Maa ko khus karne
se Allah
tala khush hota hai aur use naraz karne se allah naraz hota hai
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
BADE BHAI KA HAQ CHHOTE BHAI PAR AISA HI HAI JAISE BAAP KA HAQ
BETE PAR.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeJhoot
bolne ki aadat
aadmi ko buraai ke raaste par daal deti hai.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai KeAgar kisi Aurat par
achanak nigaah pad jaye to nazar pher lo doosri Nigaah us par na daalo
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke
DUWA KI QUBULIYAT KA YAQEEN RAKH KAR DUWAYEn MAAnGA
KARO,KYUn KE ALLAH KISI GAAFIL AUR LAA-PARWAH DIL KI DUWA QUBUL
NAHI FARMATE. Rasool-e-Khuda
Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
"Apne Ghar Me Surah Baqra Padho
Isliye K Shaitan Us Ghar Me Dakhil Nahi Hota
Jis Ghar Me Surah Baqra Padhi Jati He"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke jo Admi pasand
karta hai ke iske Rizk me izafa kiya jaye ya iske asraat der tak rahe wo
sila-rahmi kare.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
"Tum Mein Behtareen Log Woh He
Jo Apni BIWIYON K Sath
Achcha Sulook Karte He"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeRAAT ka
khana
mat chhodo chahe thoda hi kyun na ho is liye ke RAAT ka khana
chhodna budhapa laata
hai. Rasool-e-Khuda
Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Kisi Maangne Wale Ko
Waapas Na Karo
Chahe Khajoor Ki
1-Guthli (Maamuli Cheez) Hi Sahi"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke ALLAH SE JAB
BHI MANGO JANNATUL FIRDAUS MANGO Q K US K UPR RAHEMAN KA ARSH
HAI JAHAN SE JANNAT KI NAHEREN NIKALTI HAIN.
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Kaunsa Amal sabse zyada logon ke JannaT me jaane ka Sabab banegA?
Farmaya:TAQWA aur HUSN AKHLAQ.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke
Agar tum duniya ke har hisse me bhi Sona Khairat karoge to utna sawab na
paoge jitna
Muharram ke AASHURE ka ROZA rakhne par milega
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke
Salaam Me Pahel Karne Wala Takabbur Se Bari Hai.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke
"Main Os Waqt B NABI Tha Jab Hazrat ADAM (Alaih Salam)
Rooh Aur Jism K Darmyan The".
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Allah Taàla farmata hai k jo b banda apne gar se nikalte waqt ye
kalimat phare
"BISMILLAHE TAWAKKALTO ALALLAHE" to main us se 5 waado ka elan krta
hon .
(1) Ye k ap ki hifazat ho gi. (2) Ap ki maghferat ho gi. (3) Ap
shitan k waswaso se mahfoz
honge . (4) ap jis kam k liye nikle ho wo pora hoga . (5) ye k ap
ZINDA apne gar lot
aaoge..
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
“Ankhon ko unka haq do.”
Logon ne pocha, Hazoor ankhon ka haq kya ha ?
Aap S.A.W.W. nay farmaya:-
Quran ki ziyarat!
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Allah nay farmaya'' Mujay apni izat ki qasam! May apnay banday par 2
khof aur 2 aman
ikathay nahi karun ga agar wo mujh say dunia may khof rakhay ga to
may usay qayamat k
roz aman may rakhun ga agar wo mujh say dunia may bay-khof raha to
may usay qayamt
k roz khof may mubtala karun ga''.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
Raat Ka Khana Na
Choro Chahey 1 Meethi
Khajoor Kyun Na Ho Kyun k
Raat Ka Khana Chorhna
Aadmi Ko Zaeef Ker Deta Hy
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
"Kahan Kha k Shukar
Ada Krne Wala Ka
Darja, Sabr Krne Wale
Rozedar k Brabar Hota
Hy"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
"Aur Wo Shaks (Arsh k
Saaye Main Hoga) Jis Ka Dil
Masjid Main Atka Rehta Ho"
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
1- Lehsan(Garlic) khaya kro aur is se ilaj kia kro Qk is mein
bimario'n se shafa hy.
2- Apne dastar-khawan ko sabz cheezo'n ko sjaya kro Qk sabz cheez
ALLAH k naam ki
barkat se shetan ko duur rkhti hy.
3- Har Anaar mein 1 qartra Jannat k pani ka zaruur hota hy ...
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
"Jo Shaks Khuda k
Raaste Me Kuffar Se
Sirf Itni Der Larta Rahy,
Jitni Der Me Ek Ountni
{Camel}Ka Doodh Nikala
Jata Hy, Tou Us Shaks Pr
Jannat Wajib Ho Gai... "
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Musalmano ! Ghar Bananay ya Layne se Pehlay Achay Humsaya ko Talash
kia karo.
Aur Rasta Chalnay se Pehlay Achay Sathi ko Dhond (Talash) lia karo.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
ALLAH Ko Tum Wesa Hi
Pao Gy Jesa Us k Baray
Main Gumaan Rakho Gy
ALLAH TA'ALA Sy Acha
Gumaan Rakhna Bhi
ALAH Ta'ALA Ki Achi
Ibadat Hy ..."
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
"Jis ko ye pasand ho k
Shetan is k saath
khaney main, soney main
raat guzarney main
shareek na ho, usay
chahiye jab ghar main
dakhil ho tou SALAM
kary aur khaney par
BISMILLAH kahey ..."
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
"Garam Khana Thanda Ker Liya Karo Kyu Ke Garam Khanay main Barkat
Nahi Hoti"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
ALLAH us k chehre ko Tarotaza rakhay jis ne meri bat ko suna, yad kiya aur
agay
pohncha diya. Rasool-e-Khuda
Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
.DUNYA KI ZENAT 3 CHEZEN HAIN
1_ "MAA"
2_ "OULAD"
3_ "BIVI"
.AAKHRAT KI ZENAT 3 CHEZEN HAIN
1_ "ILM"
2_ "TAQVA"
3_ "SADQA"
.JISM KI ZENAT 3 CHEZEN HAIN
1_ "KAM KHANA"
2_ "KAM SONA"
3_ "KAM BOLNA"
.DIL KI ZENAT 3 CHEZEN HAIN
1_ "SABR"
2_ "KHAMOSHI"
3_ "SHUKUR".
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Jo Sotay Huay Sone Ki Dua Prh Ly Wo Jitna Wqt Soy Ga Ibadat Ka Swab
Mile Ga.
."Allahuma Bismika Amutu Wa Ahya"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeJo Shaks
Astaghfar
Ko Apne uper Lazim karly to Allah s k liye
.Hr tangi se nikalne ka rasta nikal deta hai aur har
gham-O-pareshani se
.Isse nijat deta ha or usse aisi jaga se rizq deta hai jis ka is ko
.guman b nahi hota
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Ghuroor karne wale log qayamat mein chuntion(ants)
ki surat mein zahir hon gey,
log hisab se farigh hone tak unko pairon se kuchlain ge.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke "'Agar tum mein se
kisi ko yeh khadsha ho ke qayamat k din us ki bakhshish mushkil hai to usay
chahiye ke
woh kasrat se logon ko pani pilaya kare', kyun ki is chote se amal ka ajar
buhat bara
hai." Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
'Mehmaan apna RIZQ le kar aata hai
or khilaane walon k gunah le kar jata hai..
(yani gunah jhar jaty hen)
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
"Musalman ko jo ranj, dukh, fikar, gham, takleef aur pareshani pesh
aati hai yaha tak ke
usay aik kanta bhi chubta hai
to Allah us takleef ko us ke kisi na kisi Gunah ka kafara bana deta
hai"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke
Tum Zyda Se Zyda Sajday Kya Karo Q K Jb B
Tum Sajda Karo Gy Tumhara Ek Darja Buland
Hoga Aor Tumhari 1ek Ghalti Mita Di Jaegi.
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Jab tum kuch bhool jao to mujh pe Durood Parho
InshAllah yad aa jay ga
Aur Farmaya: jo kisi pareshani mai ho wo mujh par Durood ki kasrat
karay
kiu ke ye Pareshani aur dukh le jata hai.
Rizk Barhata hai aur Hajtain Poori Karta hai
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke
"10" baaton ko 10 baatain khatam kar deti hain
1. Tauba - Gunah ko
2. Dukh - Zindagi ko
3.Ghussa - Aqal ko
4.Sadqa - Musibat ko
5.Chugli - Dostee ko
6.Namaz - Be-Hayaee ko
7.Neaki - Badi ko
8.Jhooth - Rizq ko
9.Zulm - Insaaf ko Aur
10.Takabur-Aamal ko
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
agar koi momin meri 1 sunnat ko zinda karyga to us ko 80 SHAHEEDON
ka sawab
mileyga jhut na bolna AAP S.A.W. ki sunnat ha Lehaza is mehbob
sunnat ko apnaeye Yad rahay mazak me bi jhut nahi
khud is tarhan is sunnat k paekar bun jaen k log ap ko dekh k khud
badal jaen
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Juma ka ghusal framosh na kro
kyun ke ye tmam haftay k gunaho ka kafara hai..
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
"Libas ki sadgi eman ki alamaton mein se 1
alamat hai".
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
"jis ne buri bat se khamoshi ikhtiar ki, wo nijat pa gya"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke
Tumhari dua qabol hoti he jab tak jaldi na karo, ye mat kaho k me ne dua ki
thi qabol na
hui. Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Allah ki raza walid ki razamandi main hai or
Allah ki narazgi walid ki narazgi main hai.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke
"Jis ko ye pasand ho k
Shetan is k saath
khaney main, soney main
raat guzarney main
shareek na ho, usay
chahiye jab ghar main
dakhil ho tou SALAM
kary aur khaney par
BISMILLAH kahey ..."
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
"Garam Khana Thanda Ker Liya Karo Kyu Ke Garam Khanay main Barkat Nahi Hoti"
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke
Musalmano ! Ghar Bananay ya Layne se Pehlay Achay Humsaya ko Talash kia karo.
Aur Rasta Chalnay se Pehlay Achay Sathi ko Dhond (Talash) lia karo.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
Raste mey baithne se bacho or agr baithe ho to uska haq ada kro.
Pucha gya k raste ka haq kya hai?
1.Apni nigahen neechi rkho..
2.Kisi ko tkleef na do.
3.Salam ka jawab do.
4.Achi baat ka hukam kro.
5.Buri baat se mana kro
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke"jisne MUJHKO
KHWAB me dekha to beshaq usne MUJHI ko dekha kyoun ki Shaitan MERI nakal
nahi
kar sakta" Rasool-e-Khuda
Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Muamla Chota Ho Yah Bara .Is Ko Tahrer Main Lane Ka Liya Susti Na
Karu ...
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
"REHAM" karny walon per "REHMAN REHAM" karta hey.
Tum Zameen walon per Reham Karo "ASMAAN WALA"
tum per REHAM karey ga.
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
"Jis ne Hajj kia or Hajj me koi baat fasaq ki na ki na fahash kalaam
kia to wo Hajj se aisa
Pak o Saaf ho kr lot'ta hy k goya aj hi Maa k pait se peda hoa hy."
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
Jo shaks Apne Zalim Par ßuddua karta Hey Wo Apna ßadla Le Leta Hey
Jo Çhez ßachon ke Lie ßazar se Lao Phele Larki ko Do Phir Larke ko
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Allah ne tum per Fazul bat
karna, kasrat se sawal karna aur maal zaya karne ko makroh kia hai
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
''Apne bhai ki musibat se khush na ho, kahin aisa na ho k ALLAH ta'ala is
per to rehem
farmae or tumhe is me mubtala kar de''
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
Miswaak Ka Istaimal Apny Liye Lazim Karlo Kunkay Us Mei
Mo Ki Pakeezgi Aur Allah Ki Khushnudi Hai
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Allah Taalah Farmatay Hain,"Aulaad-E-Aadam Ka Har Amal 10 Guna
Bharta Hai Siwaye Roze Ke,Roza Mere Liye Hai Aur Main He Roze Ki
Jaza Doon Ga."
Ek Sahabi, Allah Se Dua Kar
Raha Tha,
Ay Allah ! Muje Sabr Ata Kar.
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Ke"Allah
Se Sabr Mat Mang
Q K Sabr Musibat Par Kia Jata Hai,
Pehly Musibat Ayegi,
Phir Sabr..
Tu Allah Se Shukar Ada Krney Ki Tufeeq Mang,
Q K Shukr Nemat
Per Ada Kia Jata He,
Pehly Nemat Milegi,
Phir Shukr Ada Hoga..
SUBHAN ALLAH
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
Jb tum Ksi bande ko
dkho k usey dunya
se be-raghbati aur kam
bolne ki nemat ataa ki
gai hy tou uski
qurbat-o-sohabt
ikhtiyar kro "
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)
Aap ne farmaya Hai Ke
HAZRAT JIBRAIL (A.S) HAZOOR (S.A.W.W) Ka Pass Aaye AOr Farmaya Ya
Rasool-ALLAH Hum Insan Ka Har Amal Likhtay Hain §iwaye Insan Ka Ansoo Ka..
Ansoo Ka Khazana ALLAH K Pas Khud Hy.. Kion K Insan Ka ALLAH K Khof sy Nikla
Hoa Aik Anso Jahanum Ki aag ßujha deta Hy
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
“Be-Shak Jannat Main 1 Darwaza Hai Jis Ka Naam “Rayyan” Hai,
Uss Darwazay Se Sirf Roza-Daar Dakhil Hon Gay.”
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Meraj Ke Moka Par Mera Guzar
Aise Logo Ke Pass Se Huwa
Jin Ke Nakhun PEETAL Ke Thay
Wu Apny CHEHRON Or SEENO Ku Noch Rahay Thay
Mei Nay Pucha
Jibrael A.S Ye Kon Loag Hain?
Jibrael A.S Nay Kaha
Ye Wu Loag Hain Ju Logo Ka Ghosht Khaya Karte
Thay Aur Un Ke Geebat Karte Thay
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya
Hai Ke
“Logon Se Miltay Waqt Muskurana,
Andhay Ko Rasta Dikhana,
Raste Se Pathar Uthana, Sulah Karna,
Aur Neki Ki Baat Batana Bhi Sadqa Jaria Hai.”
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
Poocha gaya Jannat kitni door hai?
Aap (Sallallaho Alaehi Wasallum) ne farmaya: Jannat 2 qadam per hai.
Pehla qadam apne NAFS per rakhdo, doosra qadam jannat main hoga
Rasool-e-Khuda Hazrat
Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke
“Jo Shakhs Wazoo Karne Se Pehle Pehla Kalma Parh Le,
To Wazoo Ke Har Qatray Par Allah 1 Farishta Paida Karega,
Jo Qayamat Tak Pehla Kalma Parhta Rahe Ga Us Ke Liye.”
Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) ki Friday ki Suntain
1- Acha Libas
2- Ghusal
3- Khushboo
4- Miswak
5- Surma
6- Darood-e-Ibrahimi
7- Surah-e-Kaaf
Ramzan Ajmer Dargah, Khwaja
Baba, Ramzan Ajmer Dargah, Ramadan Dargah Ajmer, Khwaja Baba, Urs Sharif,
back
|